Sunday 10 May 2015

Development or destruction???

Dhalti umr ke akelepan mein wo kisse bhi khoob yaad aate hain
jab wo mere siraahne paani ka glaas rakhna nahin bhoolti thi
bijli rahe ya na rahe magar sar pe har waqt wo pankkha jhoolti thi

sukoon ki neend thi wo ikk baar girte the bistar pe
to phir subaha pehli baang se hi neend khulti thi
aankhen khulti thi aur band ho jaati thi, 
kuchh dhundla dhundla sa shuru mein nazar aata tha

zor se ubaasi lete hue wo apni aakhen ragadkar dhundlapan hata dena
jaane kaise wo jaan jaati thi sab aur chai ki pyaale ke saath saamne hoti thi
hum haath pakadkar paas kheechte the aur wo kookar ki seeti sunkar bhaag jaati thi

chai peete hi gusalkhane mein aise dhakka diya jaata tha
jaise hum barson se kabhi nahaaye na hon
Naahaate waqt bhi magar woh aawaz thamti nahin thi

pata nahin sab kaam wo kaise itni tezi se poora karti thi
aaj kal ki shayaad machines bhi na kar paayen
kapde istari, khana tayaar, aur hum khane ko tayaar

us khane mein bhi kuchh alag baat thi kya bayaan karen
Ek katori daliya, ek mein sookhi sabji, ek mein daal, thaali mein chaawal
aur garma garam roti par tairta hua wo desi ghee 
aur ek bada sa gilaas lassi se bhara hua
aaj ke naujawaan agar ye sab kha len to 2 din tak bhook na lage :)

Ek school mein teacher tha main drawing ka
meri kaksha ke sab bache ulte seedhe chitra banate the
aur main unhen theek karta rehta tha
Aaj kal suna hai sab utle seedhe chitra onnche daamon par beche jaate hain
us waqt ke agar 4-5 bhi sambhaal kar rakhta to shayad main bhi dhani hota :)

Ek ladka magar hoshiyaar tha 'Rahul' naam tha uska
khoob achhi achhi buildingon ke chitra banata tha
suna hai aaj London mein architect hai
Mila tha ikk baar aaya tha mujhe school mein milne
apna ek visiting card dekar gaya hai
keh raha tha ke is school ki jagah ab mall ban raha hai
jiska project wahi handle kar raha hai

No comments:

Post a Comment