Tuesday 30 June 2015

Jee le Zaraa

Jaate-Jaate wo mujhe Jeene ki wajah de gaya,
Is-se bada ehsaan wo mujhpar kya karta...
Pyaar ko samjha hoon pyaar ko khokar main,
Pehle jaanta to shaayad kabhi pyaar na karta..

Aage Se Right

Dard aankhon se chhalkaana chhod diya maine,
Aansoo bahaane ka kaam ab mera dil karta hai,
Ek galti ki saza ise aesi mili hai ke,
ab ye har kisi ki galtiyon ka hisaab rakhta hai..

karam

Mere saamne hi hua hai mere pyaar ka katal
aur shaayad mere hi haathon hua hai
Saza bhi mujhe hi dena E khuda
Use to pata bhi nahin tha ke use kya hua hai?

Pyaar ke side effects

Sach kaha hai kisine ke pyaar sab kuchh bhula deta hai,
Kabhi bhookh bahut zyada lagti hai aur kabhi bhukha hi sula deta hai...

Monday 29 June 2015

Kaam ka plot

Kal sard hawa thi, aaj aankhon mein nameen hai,
Kal Insaan kamm the, aaj insaaniyat nahin hai,
Logon ne itne tukde kiye hain is dharti ke,
Aaj murde bhi uthke bolne lage hain ke, 
"bhai, wo tera plot hai aur ye meri zameen hai"

Inception

Kai baar dooba hoon, tairna bhi nahin aata tha magar bach nikla
Is baar magar jo dooba to baahar bas mera jism nikla

Pehle saans roki thi phir ruk gayi, khud-b-khud use dekhkar
Saamne thi wo mere, phir gaayab hui, aise hi mera damm nikla

Aankhen khuli thi, shor mein sannata tha, wo mere khyaalon mein thi
Jab hosh mein aaya, logon ke kandhon par sawaar, mera shav nikla

Main chillaya, kooda janaaze se, sab ne andekha,ansoona  kiya
peeche se ek haath aaya, mera haath pakda, palat kar dekha to mera sanam nikla..

Immortal

Jaane kaisa rishta hai, Jo na banta hai aur na hi bigadta hai
Dono taraf se kheech rahe hain dor dono, 
Dhaaga na to tootata hai aur na hi chhotata hai..

Ek panchhi jo ab udne ki chaahat nahin rakhta
Apne pankh nadi ke paani mein baar-baar gile kar
phir se kinara karta hai inke sookhne ka intezaar mein
Na to ye thand se marta hai aur na thitharta hai..

Ek rooh jo do hisson mein baant di gayi
riti riwaazon mein jakde do zinda jismon mein
Jism mile aur phir juda ho gaye,
Ab na ye rooh soti hai na ise chain padta hai..

Sunday 28 June 2015

Namak Ishq Ka

Maikadon mein chhup kar baithe hain sab pyaar karne waale
Mohabbat ki zara si dhoop to inse sahi nahin jaati...

Main Hoon Na

Main bhi e doston tumhare saath kab tak hoon,
Is shareer mein jab tak jaan hai tab tak hoon,
Main bhi yaad nahin rahunga aur shaayad mera likha bhi nahin,
Padh lo ye panktiyan chaar jab tak hoon..

Saturday 27 June 2015

Pehchaan

Usne kaha ke wo pehle se mujhse waakif hai,
Dil tootne se hi sahi, logon ko meri pehchaan to hui..

No Mercy

Tairna yahaan kisi ko nahin aata magar,
Sab pyaar ki nadi mein kood jaate hain..
Doobne par kai log damm tod dete hain,
Aur kuchh doobne ke darr se tairna seekh jaate hain...

EMIs of Life

Main bhi apna bacha hua waqt ab, tukdon mein hi nikaal raha hoon
Suna hai ke khuda insaan ko, EMIs pe zindagi de raha hai..

Naseeb

Ishq ki kabr khod raha hoon dosto,
Daal jo ismen, jis-jis ko dafnaana hai..

Laapata


Ek aadmi mila aasmaan ki taraf dekh khuda ko gaali de raha tha..
khudko maarne laga jab maine kaha ke khuda tumhare andar hi hai...

Ye dooriyan

Aap bhi to humse ab kahaan baat karte ho?
Jaankar accha laga, hamara likha to padhte ho...

Samjho Na

Aaj unhen mujhe apna likha bhi samjhaana padega
Jinhen khudko samjhaane mein maine ik umr guzaar di..
Wo khudko kabhi khud bhi samajh nahin paaye
Yahi hamaari zindagi ki sabse badi haar thi..

Ek tha shayar

Pesh-e-khidmat karta hoon, thodi si zubaan apni
khudko nazar kar sakoon, itni haisiyat kahaan apni..

Friday 26 June 2015

Ishaqzaade

Khata hui mujhse ke izhaar-e-mohabbat kar baitha
Ek gunaah ke baad doosra gunaah kar baitha,
ab tak raaten bitaayi thi akelepan mein,
Ab ye din bhi tanha kar baitha...

Do You Know?

Zindagi ko thoda kareeb se to dekho
Maikhaane ban jayenge sab dawa khaane
Aur peene baithoge jab un maikadon mein dosto
Ashqon se bhare milenge sab paimaane..

Thursday 25 June 2015

Dil Dhadakne Do

Mujhse kyon poochhte ho sawaal, meri zindagi ke baare mein
Kuchh palon mein ek umr bayaan karna mumkin nahin lagta
Aur kya karoge tum gade murdon ko ukhaad kar
Kya tumhen ye hasta hua chehra achha nahin lagta?

Ek Mulakaat

Abhi-abhi aaye ho, theek se baithe bhi nahin aur jaane ki baat kar rahe ho, maajra kya hai?
kaafi der baad mile ho, raaste mein dekhkar munh pher lete ho, chhupaana kya hai?

Aaj us rang ke kapde pehne ho jo rang tumhen hamesha se napasand tha
baalon ka style bhi aaj alag hai, bata na kya hai?

chalo mat batao, baitho to sahi, do ghari hamari hi baat sunlo,
Bas idhar udhar ki baat hi karoonga, samjhaana kya hai?

Wednesday 24 June 2015

Meri Jung

Zindagi leti rahi mere sabr ka imtehaan
Kabhi jaan ka kabhi maal ka, bahut hua nuksaan mera
Khaak bhi chhaani aur riyaasaten bhi dekhin
Zamaana bhi raha hai kadrdaan mera

Kai baar maut ne bhi pukara mujhe to yun laga
Jaise khuda ke ghar se aaya ho farmaan mera
magar yunhi haar maanane waalon mein se hum nahi the
Ladta raha jab tak dushman na ho jaaye veeraan mera

Aaj phir saanson se jung chhidi hai
Aaj phir main saanson ke taar kheech raha hoon
Phir se aaj khuda ne mujhe aawaaz di hai
Usko bhi har waqt rehta hai jaise dhyaan mera...

Aakhir kyon?

Ye shabd hi reh jayenge, is liye likh raha hoon
Ek din sab chale jayenge, kis-liye likh raha hoon?
Nahin jaanta koi padhne waala hoga ya nahin
Shaayad khuda ke kaam aayenge is liye likh raha hoon..

Tuesday 23 June 2015

The Last Installment

Paai-paai jod wo shakhs uske umr bhar ke khaane ka jugaad kar gaya
Jise wo kehti rehti thi ke pyaar khane ko nahin deta
kaise mara kisi ko pata nahin, laash mili thi usi mohtarma ke darwaaze par
Na koi chot ke nishaan the na koi zakhm tha shareer par, 
Haathon mein ek noton ki gaddhi mili thi
kuchh mude hue kuchh ungliyon se jude hue
aisa laga jaise aakhri waqt mein bhi wo bas paise gin raha tha...
Hothon par hasi bhi thi haste haste gaya hai shaayad
uski muskaan se yun laga ke jaise ye uski aakhri installment thi..

Daud

Zindagi ki tez raftar mein itna kho gaya tha
ke kai saalon tak maine khudka chehra nahin dekha
badhta raha behte hue paani ki tarah, kai chattanon se hokar guzra
Jo bhi peeche chhoota, use palat kar dobara nahin dekha

Kai darwaaze band the jo tod diye maine
kai bas naam ke sahaare bhi the jo chhod diye maine
Ek aandhi uda le gayi mujhe gira gayi samandar mein
Aisa samandar jo pehle kabhi maine mere yaara nahin dekha

Maana toda hai waqt ne mujhe andar se poora
magar abhi bhi main zinda hoon
Aur mere dil mein har wo shaqs zinda hai
Jinke jaisa koi aur maine dildaara nahin dekha...

Monday 22 June 2015

Tum Ho...

Saari raat tere khyaalon mein lipti hai, 
aur dinbhar hamen neend nahin aati hai
Ro leta hun kai baar Jab khud se haar jaata hun
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Wo manzar saamne aata hai, main aankhen khol deta hun
Tu mere paas hoti hai, main tere paas hota hun
Magar jab chhoona chahun to, tu phir se door jaati hai
Aaja ab kahin mat ja, ismen allah ki marzi hai.
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai.

Maikhane chhod doonga main, Jaam saare tod doonga main
Aayega agar khuda bhi lene mujhe, use bhi mod doonga main
Main tujhse pyaar karta hun, tu mujhse kyun bigadti hai,
Kabhi dil tez dharkta hai, kabhi ye saans rukti hai...

D-Day

Maikhane band hain sab aaj dry day lagta hai
chalo aaj border chalkar peete hain
bina piye sote mujhe bada darr lagta hai..

Tuesday 16 June 2015

Sachaa aur Jhootha

Kuchh bhi achha ya bura nahin hota
Insaan insaan hota hai khuda nahin hota
Zindagi bhi chhoti si hai, sochkar jiyo ya jeekar socho
sab kuchh soch-samajhke karne ka bhi samaa nahin hota

Insaan hi likh raha hai, insaaniyat ki kitaab
Apraadhi wahi hai jo pakda gaya 
magar kai gunaahon ka, dharti par faisla nahin hota

Kahaani kahaan se shuru hogi aur kahaan jaakar khatam
Ye shaayad likhne waala bhi nahin jaanta
Marte wahi hain jinmen jeene ka jazba nahin hota

Har waqt kat-hare mein khade rehte hain ye mitti ki putle
Umr bhar sahi galat ki sunwaai karte rehte hain
Inke marne par kai aise bhi log rote hain
Jinhone kabhi inhen dekha nahin hota

Sach aur jhooth mein farak, maut aur zindagi jaisa hai
Insaan jhooth ka sahara lekar zindagi bhar sach se ladta hai
Aur Maut se insaan ka parichay kabhi dobara nahin hota..

Kya Badla Hai?

Kya badla hai?
Abhi bhi sapne dekhta hoon, 
Chonk-kar uth jaata hoon, toot jaane par
Phir se so jaata hun, dobara neend aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi rooth jaaata hoon
subaha kisi ke jaldi jagaane par
phir maan bhi jaata hoon, chaaye ki pyaali aane par

Kya badla hai?
Abhi bhi ladta hoon
koi na samjhe agar samjhaane par
phir samjhata hoon, uske wahi galti dohrane par

Kya badla hai?
Abhi bhi pee leta hoon
Botal chhupa leta hoon, biwi ke aane par
Phir se peene lagta hoon, uske chale jaane par

Kya badla hai?
Abhi bhi sochta hoon
ke kon khyaal rakhega mere apnon ka, mere chale jaane par
Kya kuchh bhi nahin badlega, sab kuchh khatam ho jaane par??

Talaash

Main roz nikalta tha teri talaash mein anjaan raho par
Tera ishq beh raha tha jahaan un tez hawaon par
Magar tune har waqt mere saaye se yun parda rakha
Jaise kisi rooh ne khudko jism se juda rakha

Kadrdaan nahin tha us waqt zamaana mere hunar ka
Mere jism ne bhi diya saath khudko bhook se ruswa rakha
main bhatakta raha dar badar apne ishq ka janaaza lekar
Maine Dard ka naam tab khuda rakkha...

Meri Adhoori Kahaani

Sooni mehfil mein, yaarana dhoond raha hoon,
jahan is dil ka ho basera, wo thikaana dhoond raha hoon

Suna hai ek chinggari ne kai ghar jalaaye hain
Ek bewaafa dil mein, deewana dhoond raha hoon

Na koi dost hai mera na dushman hai
Jo kabhi mujhe pehchaan paaye, wo zamaana dhoond raha hoon

Dard-e-gham ki lat lagi hai, ishq-e-samanddar ki talaash hai
Jo bujha sake meri pyaas, wo mainkhana dhoond raha hoon

Doosron ke kandhe par sar rakh ro na saka
Apne andar hi main ab kuchh shaayrana dhoond raha hoon..

Monday 15 June 2015

Move On

Hue naakam to kya, niklenege safar pe phir se ik baar
Tu saath na de mera to kya, mujhe to jaana hai us paar

In khali mehfilon ka main saamaan nahin hun
is tooti hui botal ka main jaam nahin hun
Chhoo kar zara tu dekh mujhe main insaan nahin hun
mera koi rab nahi, aur na hi koi sansaar
Tu saath de na de, mujhe to jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar

Shikayat na tujhse hai meri koi, na zamaane se hai
bhujh gaye hain shaayad kuchh mere waqt ke diye
main khud hi ab aandhi ban chala hun
sab bhuje diye udaakar apne saath le chala hun
tu roshan karne ki inhen koshish na kar
ab ho jaane de mera toofan se takraar
tu aaye ya na aaye, mujhe jaana hai us paar
Hua naakam to kya, niklenege safar pe phir se ek baar..

Sunday 14 June 2015

Pyar Ishq Aur Mohabbat

Kaisa pyaar hai sab kuchh bhula deta hai
Jab tak milta nahin hum use dhoondta rehte hain
Jab mil jaata hai to khud ko dhoondana padta hai

Kaisa pyaar hai sab kuchh hila deta hai
Jab tak nahin hota to log bewakoof samajhte hain
Jab ho jaata hai to log tumhen khojte hain

Kaisa pyaar hai pal mein rula deta hai
Jab tak saath chalta hai, khoob maza deta hai
Aur jab bichhadta hai, to khoob maza leta hai

Kaisa pyaar hai? chain se jeene nahin deta
Jab tak nahi hai to zindagi ki fikr nahin hai
jab ho jaata hai to ek bhi pal sabr nahin hai

Kaisa pyaar hai? Mazboor bana deta hai
Zindagi jeetne chala insaan dil haar jaata hai
deemaag jeene nahin deta aur dil ke haathon mazboor rehta hai

Kaisa Pyaar hai? Jo likhna sikha deta hai
Jab tak nahin tha to sunta rehta tha doorson ke kisse
hone ke baad khud kahani ban chuka hun...

Friday 12 June 2015

Ye Duniya Pittal di

Suna hai zindagi jeene ki bhi koi tarkeeb nahin hai
Har koi talaash raha hai, magar mili nahin hai
mandir masjid mein rishwat dekar luck kharide jaate hain
Poori ho muraad to hai aur na ho to khuda nahin hai

Jeete jaagte ki to har harkat buri hai
marr jaaye koi to bhala aadmi wahi hai
jo dikhta hai wo bikta hai yahaan
khuli aankhon pe bhi shaayad patti bandhi hai

Sach aur jhooth ka faisla koi nahin kar paaya ab tak
na sahi aur galat hai kuchh bhi
jo karm kisi ke liye achha hai, wo kisi aur ke liye bura hai
aur ye sab tai karna waala shaayad is dharti par nahin hai..

Thursday 11 June 2015

Kites

Chheen leta tha wo jab bhi koi kati patang loot kar laata tha main
bada tha mujhse main uski bahut izzat karta tha
wo sootata tha dor aur mere haath mein haandi diya karta tha
udaata bhi wahi tha, aur mujhe charkhi pakda diya karta tha

Use koi aawaaz deta tha to patang main sambhalta tha
idhar udhar na karna bolkar jaata tha
phir koi patang aakar mera patang kaat deti thi
Aur main dor sameta karta tha

Ek din khud se hi patang udaane ki soch baitha
dor nahin thi mummy ki machine ke dhaaga soot liya
patang nahin tha ghar pade polythene se bana liya
Aur udaakar maine patangg sambhaal liya

sach nahin maanoge pehli patang usi ki kaati thi
jise dor kabhi sootani nahin aati thi
mujhe ilzaam diya karta tha, use kuchh gyaan nahin tha
udaane ka style tha bas, dor mein bhagwaan nahin tha..

Wednesday 10 June 2015

The Unpredictable Wife

Zakhmon pe namak lagaana to koi unse seekhe
bujhi aag sulagaana koi unhi se seeekhe
Jab bhi bolte hain kuchh anokha bolte hain
Aur bol kar mukar jana bhi koi unse seekhe

Kuchh bhi ho magar sab kuchh achha lagta hai
unke ladne mein bhi pyaar jhalakta hai
Aur ladne ke baad jab muskuraate hain apni harkaten yaad karke
ek pal mein badal jaana koi unse seekhe

Galti kisi ki bhi ho sorry humse bulwaate hain
Chaaye banwaani ho to maska bhi attitude mein lagaate hain
Aisa nahin ke gussa sirf unhen hi aata hai
Mere gussa hone par shaant ho jaana koi unse seekhe

Dost banane mein mahir hain ye aur dosti todne mein bhi waqt nahin lagaate
Zara sa koi bura lag jaaye to uska kabhi phone nahin uthaate
Haan magar kisi ki madad karne mein bhi nahin ghabraate
Dushmanon se bhi dosti nibhana koi unse seekhe

Cooking ka bhi shauq hai inhe magar experiment bahut karte hain
kai baar zyaada achha banaane ke chakkar mein bura ban jaata hai
Dil rakhne ke liye hum tareef kar dete hain magar wo chehra padh lete hain
Khud ki hi galti pe naaraaz ho jaana koi unse seekhe

Shopping pe to chahe inhen roz le jaao kabhi thakte nahin hain
phir bhi kisi function mein jaana ho to inke paas dress nahin hai
Almiraah dekhoge inki to haath ghusaane ki jagah nahin hai
Ghar pe kapdon ki dukaan lagaana koi inse seekhe :)

Bewafa Sanam

Adaalat bhi uski thi, faisla lene waale bhi uske the
ilzaam bhi usne diye aur wakaalat bhi khud ki
kai baar multabi kiya gaya hai mere ishq ka mukaddama
Aaj sochta hoon wafa kardoon bewafa bankar..

Aam Aadmi

Wo ja raha hai dekho zimmedaar aadmi
subaha se shaam office mein waqt kaatkar
Raat ko thak-kar so jaane waala,
Har roz ghar aur office ke kaam se ghira hai kabeeldaar aadmi

Kai baar to raat ko bhi chain se nahin so paata
baar baar kisi aahat ko sunkar uth jaata hai
yakeen jab hota hai use ke sab theek hai
tab jaakar aankh lagata hai neend se pehredaar aadmi

Mahine ke shuruwaat mein salary milne par khush rehta hai
10-15 din khoob udata hai ghar waalon ki zarooraton par
Khud shaam ko quarter laga leta hai
mahine ke aakhir mein thoda chidchida rehta hai ye dildaar aadmi
magar phir bhi manage kar hi leta hai, hai to hoshiyaar aadmi

Ghar pe biwi ki naukri karta hai aur baahar babu logon ki
Kai baar gusse ko pee jaata hai aur kai baar nikaal leta hai doston par
BAchpan ko yaad karta hai aur rota hai
kaise paala tha use maa-baap ne banakar 'sartaaj aadmi'
Aaj khudi hi ko wo maanta hai wo 'Gunehgaar aadmi'
Kar bhi kya sakta hai kyonki waqt ke haathon hai laachaar aadmi

Phir bhi isi dhun mein jiye ja raha hai
ke kisi ko khushi de paa raha hai, kisi ke liye kuchh kar paa raha hai
Duniya ke riti riwaazon se har waqt joojhta rehta hai
Zindagi ka saath chhodne par phoolon ki maala ki saath latka hai deewar aadmi



Monday 8 June 2015

Dosti


Kuchh is tarah se hum apna bachpann bita liya karte the,
kuchh dost har waqt rehte the meri taak mein aur kuchh ko hum bula liya karte the..

Falsafa


Boond boond se agar saagar banta hai to mera ghar sookha kyon hai Ghalib
Uske bichadne se lekar ab tak meri aankhen ne kabhi sookha nahin dekha.

Teri Galiyan

Jab bhi teri gali se guzarata hoon, paanv dheeme chalne lagte hain mere
Tu phir se apne baalon se paani girayegi meri nayi kameez par ye lagta hai
bahut khridi thi tere bhegaane ke chakkar mein maine wo kameezen
Aaj bhi wahi pehnta hun, 70 ka ho chuka hun aur mujhe kamm dikhta hai..

Sunday 7 June 2015

Saturday 6 June 2015

Zinda hun main, kiske liye?

Zor se chali thi hawa, udakar le gayi thi sab kuchh
Ek dupatta magar taahni mein fasa reh gaya
Wo bhi aise hi aayi thi zindagi mein toofan bankar
roz maarti gayi mujhe magar main zinda sa reh gaya..

Thoda sa dil mera bura hai, Thoda bhala hai seene mein

Mumkin tha ke tum bhi mujhe galat hi samjhoge
Ek galat insaan agar sahi bhi Kare to galat hai
Sahi galat ka tum logon ko khoob anubhav hai
to batao rab galat hai ya khuda galat hai..

Gustaakh Dil

Baimaan hai ye dil mera mujhe sabse door kar raha hai
kis baat se naaraz hai ye aisa kyun kar raha hai??

chhoti si baat par gussa ho jaata hai, har kisi se umeed lagaata hai
jaane kyon har roz mujhe ye maikhane jaane par mazboor kar raha hai.

Friday 5 June 2015

Thursday 4 June 2015

Suroor

Us gambheer chehre mein bhi maine khushi ki ek lehar dekhi hai
Wo Udaas hai magar mayoos nahin hai
Samay ka chakka ghumega to kal uska bhi waqt aayega
Ye zaroori bhi nahin ke jo nahin peeta use ilm-e-suroor nahin hai..

Wednesday 3 June 2015

Risk

Meri maano to mat do kisi ko apna dil
har dil ki tarah ye bhi tootega ya todega
Ye toota to tum jee nahin paaoge
aur agar toda to khuda tumhen jeene nahin dega..

Dillagi

Doston ne ki zidd to mikhane ja baitha
Peene ka nahi tha shauk to pilaane ja baitha
Teri aankhon ne magar mujhe bhar-bhar ke jaam diye
aur main madhosh ho tujhse dil lagaane Ja baitha..